Thursday, August 31, 2017

Kitne aishh se rehte honge kitne itraate honge... -Jaun Eliya (Jaun Eliya Ghazal, Sad Shayari)


Kitne aishh se rehte honge kitne itraate honge
Jaane kaise log wo honge jo us ko bhaate honge


Shaam hue khush-bash yahan ke mere paas aa jate hain
mere bujhne ka nazaara karne aa jate honge

Wo jo na aane wala hai na us se mujh ko matlab tha
aane walo se kya matlab aate hai aate honge
Us ki yaad ki baad-e-saba mein aur to kya hota hogaYoon hi mere baal hai bikhare aur bikhar jaate honge
Band rahe jin kaa darwaaza aise gharo ki mat poochho
Deeware gir jaati hogi aangan rah jaate honge
Meri saans ukdate hi sab bain karenge royenge
Yaani mere baad bhi yaani saans liye jaate honge
Yaaro kuchh toh zikr karo tum us ki kyaamat baahon ka
Wo jo simat'te honge unme wo to mar jaate honge

-Jaun Eliya


Watch Amazing Recitation Of "Kitne aaish se rehte honge..." -Jaun Eliya

Kabhi Yu Bhi Ho Sar-e-Bazm Wo, Mujhe Ye Kahe Ke Ghazal Suna


Kabhi Yu Bhi Ho Sar-e-Bazm Wo, Mujhe Ye Kahe Ke Ghazal Suna,

Mai Ghazal Ghazal Me Use Ye Kaho, Mera Koi Nahi Tere Siwa...

Ungliyaa Bhi Isi Soch Me Gum Hai Faraz

Ungliyaa Bhi Isi Soch Me Gum Hai Faraz,

Us Ne Kaise Naye Haath Ko Thama Honga...?

Sunday, August 20, 2017

Kaash Mai Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota... (Nazm) -Wasi Shah




Kaash Mai Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

Tu Bade Piyaar Se Chaao Se Bade Maan Ke Sath

Apni Nazuk Si Kalayi Me Chadati Mujh Ko

Aur Be-Taabi Se Fursat Ke Khizaa Lamho Me

Tu Kisi Soch Me Dobi Jo Ghomati Mujh Ko

Mai Tere Hath Ki Khushboo Se Mehak Sa Jata

Jab Kabhi Mood Me Aa Kar Mujhe Choma Karti

Tere Hontoo Ki Mai Hiddat Se Dehak Sa Jata

Raat Ko Jab Bhi Tu Neendo Ke Safar Par Jati

Mar-Marein Hath Ka Takiya Banaya Karti

Mai Tere Kaan Se Lag Kar Kayi Baate Karta

Teri Zulfon Ko Tere Gaal Ko Chheda Karta

Mujh Ko Be-Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha

Mai Teri Rooh Ke Gulshan Me Meehakta Rehta

Mai Tere Jism Ke Aangan Me Khanakta Rehta

Kuch Nahi To Yahi Be Naam Sa Bhandhan Hota

Kash Mai Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

-Wasi Shah


Wednesday, August 16, 2017

Monday, August 14, 2017

Wednesday, August 9, 2017

Meri Bad-Naseebi Kidhar Chali Mere Paas Aa, Mere Saath Aa

Meri Bad-Naseebi Kidhar Chali Mere Paas Aa, Mere Saath Aa,

Mujhe Aag Aag Toh Kar Diya, Meri Raakh Bhi Toh Udaye Ja...